“Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana 2023” ke tahat Delhi sarkar SC/ST chatron ko muft coaching dene ka faisla liya hai. Is yojana ke zariye Delhi ke mukhyamantri Arvind Kejriwal ji ne IPS, IAS, IRS jaise parikshaon ke liye nishulk coaching ki suvidha pradan karne ka faisla liya hai.
Is yojana ke antargat, coaching ke poore kharch Delhi sarkar uthayegi. Yojana ke baare mein sabhi jaankariyan jaise registration process, eligibility documents aadi aapko yahaan pradaan ki jayegi.
Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana 2023
Is yojna ke liye apply karne wale SC/ST aur OBC chhatron ko free coaching aur pratimaah 2500 rupaye ki scholarship milegi. Yeh scheme chhatron ke liye bahut zaroori hai. Delhi SC/ST Free Coaching Scheme se chhatra sirf 2 baar hi fayda utha sakte hain aur iske liye 10th aur 12th me achhe marks laane zaroori hain.
Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana ke antargat, agar vidyarthi ke parivaar ki varshik aamdani 2 lakh se kam hai to sarkar poora kharcha uthayegi aur agar aamdani 2 lakh se 6 lakh ke beech hai to sarkar 75% kharch uthayegi. Baaki kharch vidyarthiyon ko dena hoga.
Delhi Sarkar ne “Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana” shuru ki hai, jisme jald hi is yojana ke laabhgraahi logo ko paise diye jayenge. Mukhyamantri Arvind Kejriwal ne kaha hai ki chatron ko arthik sahayata ke liye scholarship pradaan ki jaayegi aur wo muft coaching bhi le sakte hain pariksha ki taiyaari ke liye. Is kaam ke liye SC/ST Kalyan Vibhaag ke dwara sabhi coaching sansthanon ko jaldi se bhugtaan kiya jayega. Taki laabhgraahi chatron ko is yojana ka pura fayda mil sake.
Budhwaar ko, coaching sansthanon ke sanchalak SC/ST Kalyan Mantri Raj Kumar Anand ne varishth adhikariyon aur coaching sansthanon ke sanchalakon ke saath baithak ki hai.
Jaibhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana ke baare mein jaankari.
Scheme Name | Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana 2023 |
Launched By | Chief Minister of Delhi |
Department | SC/ST Welfare Department of Delhi |
Beneficiary | SC/ST Candidates |
Objective | To Provide opportunities of free Coaching |
Start Date to Apply | Available Soon |
Type of Scheme | Delhi Govt. Scheme |
Mode of Application | Online & Offline Both |
Official Website | http://scstwelfare.delhigovt.nic.in |
Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana 2023 ka Uddeshy
Delhi mein anushuchit jaati aur anushuchit jan jaati ke vidyarthiyon ke parivaar ki arthik sthiti kamzor hone ke kaaran, wo engineering, medical coaching jaise parikshaon ki taiyari niji sansthano mein fees adhik hone ke kaaran afford nahi kar paate hain aur apni pasand ke anusaar padhai nahi kar paate hain. Dilli sarkar ne in sabhi samasyaon ko dekhte hue Mukhyamantri Jai Bhim Pratibha Vikas Yojana 2023 shuru ki hai, jisme SC, ST varg ke pratibhashaali vidyarthiyon ko pratiyogi pariksha uttirn karne ke liye muft coaching uplabdh karai jayegi.
Yojana ke zariye vidyarthiyon ki madad karke shiksha ke kshetra mein aage badhne ke liye protsahan diya jayega tatha naukri dilane mein sahayata pradaan ki jayegi. Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana ke antargat free coaching ke alava pratimaah 2500 rupaye ki vittiya sahayata pradaan ki jayegi tatha chatron ko atmanirbhar banane ki koshish ki jayegi.
Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana Stipend
Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana ke sabhi students ko, jo coaching centers se judenge, har mahine ₹2500/- ka stipend diya jayega. Yeh plan niyamit roop se chalega.
Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana ke antargat kaun kaun si coaching hai?
Desh mein aam taur par hone wali competition exams jaise UPSC, SSC, RRB aur nyayik seva ke liye tayyar students is yojana ka fayda utha sakte hain. Rajya Lok Seva Ayog dwara ayojit Group A aur Group B ki exam, bank, bima companiyon aur PSU ki officer level ki exam ke liye tayyar students bhi is yojana ke patra honge. IIT, medical, CAT, CLAT aur anya competition exams ke liye tayyar students bhi is khas yojana ka fayda utha sakte hain. Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana 2023
Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana ke antargat aane wale coaching institute ki list.
Coaching Institute Name and Address | Contact person name and mobile number |
Sachdeva Colleges Ltd. 29, south Patel Nagar, New Delhi-08. | Mr. Soam Sachdeva 9810008070 |
K D Campus Pvt. Ltd. 1997, Outram Lines, GTB Nagar, New Delhi-09. | Dr. Raj Kishore Choudhary 9654346771 |
Think & Learn Pvt. Ltd. Byju’s Classes, B1/12, Lower Ground Floor, Apsara Arcade Building, Karol Bagh. | Dr. Satya Prakash Jha. Mobile number 9999225866 |
Sri Chaitanya Educational Institute (Managed by Varsity Education Management Pvt. Ltd.) 63/3, Ghumman’s House, Kalu Sarai, Sarvapriya Vihar, New Delhi-16. | Shaik Abdul salam. 9560703344 |
Career Plus Educational Society. 301/A,-37,38,39 Ansal Building, Comm. Complex Dr. Mukherjee Nagar Delhi-09. | Mr. Anuj Agarwal 9811069629 |
Samarpan for Education and Welfare Society, Shar Study Circle, 28 Jia Sarai, Near IIT Gate New Delhi-110016. | Mr. Pankaj Yadav 9205158136 |
Kiran Institute of Career Achievement. 3rd floor, A-4 hemkund building, opp. Chawla Restaurant, Mukharjee Nagar, Delhi- 09. | Sh. Shashi Kant Mishra. 9999816446 |
Ravindra Institute of Indian Civil Services (OPC) PVT. LTD. 102, A/8-9, Second Floor, Ansal Building, Mukherji Nagar, Delhi-110009 | Mr .Ravindra Singh 9990962858 |
Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana 2023 ke mukhya tathy.
- Yojana keval SC aur ST vidyarthiyon ke liye hai.
- Delhi ke vidyarthi is yojana ka sirf do baar labh utha sakte hain.
- Yojana ke antargat aavedak ki parivar ki varshik aay 6 lakh se adhik nahi honi chahiye.
- 6 lakh se adhik varshik aay wale is yojana ka labh nahi utha sakte hai.
- SC/ST vidyarthiyon ke parivar ki varshik aay 2 lakh se kam hai, un vidyarthiyon ki coaching ki sari kharch sarkar degi.
- Pehli baar yojana mein panjikaran kar rahe vidyarthiyon ke parivar ki saalana aay 2 lakh se 6 lakh ke beech hai, to un students ka coaching ka kharch 75% sarkar uthayegi, baki kharch vidyarthi ko hi dena hoga.
- Dusri baar aavedan karne par Delhi sarkar sirf 50% hi kharch uthayegi.
- Aavedan ke baad vidyarthiyon ko har roz coaching center jana hoga.
- Yadi kisi bhi thos karan ke bina vidyarthi 15 dino se adhik anupasthit hota hai to wah is yojana ka patr nahi ban sakta hai. (Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana 2023)
Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana ke antargat coaching institute ki patrata.
- Coaching institute ko Coaching Institute Society Registration Act 1860 ya Companies Act 2013 ke antargat registered hona chahiye.
- Coaching institute ke paas 3 saal ka anubhav hona chahiye.
- Pathyakram mein kam se kam 100 chhatron ke saath 3 saal tak sansthan poori tarah se karyatmak hona chahiye.
- Sansthan ke paas ek uchit buniyadi dhaancha hona chahiye.
Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana ke zaroori dastavez (patrata).
- Aavedak Delhi ka sthaayi nivaasi hona chahiye.
- Aavedak ne 10vi tatha 12vi ki pariksha Delhi se hi acche ank se uttirn honi chahiye.
- Aadhaar card
- Nivaas pramaan patra
- 10vi tatha 12vi ki marksheet
- Aay pramaan patra
- Jaati pramaan patra
- Ration card
- Passport size photo.
Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana registration kaise kare?
Jisko Delhi mein SC, ST category ke log Jai Bhim Mukhyamantri Pratibha Vikas Yojana ke liye apply karna hai, woh online aur offline dono tarike se registration kar sakte hai. Online registration ke liye yojana ki official website se application form download karein aur usmein naam, pata, mobile number, aadhaar card number jaise jaankariyan bharkar submit karein.
Offline registration ke liye coaching center se form lekar usmein apni saari jaankariyan bharein aur documents ki photocopy attach karein. Agar aap coaching center ki pariksha uttirn karte hain to aap yojana ka labh utha sakte hain.